Basti Ki Ye Unchi Haweli Dard Ki Chadar Mein LipTi

basti ki ye unchi haweli dard ki chadar mein lipTi

jaane kis ko dekh rahi hai barson se viran paDi

shayad tum ko yaad to hoga ahl-e-KHirad wo daur ki jab

ahl-e-junun ki zanjiron se zindanon mein jaan paDi

mazhab se khilwaD kiya to us ka ye anjam hua

mandir bhi viran paDa hai masjid bhi sunsan paDi

kis ne kis ko qatl kiya pahchan sako to pahchano

samne ye talwar paDi tirshul paDa kirpan paDi

jis din ek zalim ne ek mazlum ka nahaq qatl kiya

us din se is duniya mein kuchh rishton ki pahchan paDi

(582) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basti Ki Ye Unchi Haweli Dard Ki Chadar Mein LipTi In English By Famous Poet Nazar Siddiqui. Basti Ki Ye Unchi Haweli Dard Ki Chadar Mein LipTi is written by Nazar Siddiqui. Read famous Poem Basti Ki Ye Unchi Haweli Dard Ki Chadar Mein LipTi for youth and Student by Nazar Siddiqui. Free Download Basti Ki Ye Unchi Haweli Dard Ki Chadar Mein LipTi in PDF.