Zamin Pe BaiTh Ke Be-iKHtiyar DhunDhta Hun

zamin pe baiTh ke be-iKHtiyar DhunDhta hun

main aasman ka gard-o-ghubar DhunDhta hun

mujhe pata hai kisi mein ye shai nahin maujud

har ek shaKHs mein kyun e'tibar DhunDhta hun

akela baiTh ke masjid ke ek kone mein

kamal karta hun parwardigar DhunDhta hun

ki aaine mein kai aaine kiye taKHliq

so ek chehre mein chehre hazar DhunDhta hun

tumhaari yaad to rakkhi hai jeb mein main ne

ye kyun idhar se udhar bar bar DhunDhta hun

main aise aalam-e-wahshat mein hun ki tanhai

pukarti hai mujhe main pukar DhunDhta hun

mere liye to KHat-e-intizar khinchti hai

tere liye main KHat-e-intizar DhunDhta hun

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Pe BaiTh Ke Be-iKHtiyar DhunDhta Hun In English By Famous Poet Osaama Ameer. Zamin Pe BaiTh Ke Be-iKHtiyar DhunDhta Hun is written by Osaama Ameer. Read famous Poem Zamin Pe BaiTh Ke Be-iKHtiyar DhunDhta Hun for youth and Student by Osaama Ameer. Free Download Zamin Pe BaiTh Ke Be-iKHtiyar DhunDhta Hun in PDF.