Tariki Mein Dip Jalae Insan Kitna Pyara Hai

tariki mein dip jalae insan kitna pyara hai

rahen DhunDe manzil pae insan kitna pyara hai

waqt-e-musibat aansu ponchhe hamdardi ki baat kare

TuTe dil ko aas dilae insan kitna pyara hai

mange sau sau tarah muafi chhoTi si ek bhul ki bhi

apni KHataon par sharmae insan kitna pyara hai

dil ki dhaDkan dil mein samoe git ki lai ijad kare

mahfil mahfil saz bajae insan kitna pyara hai

laila-e-KHud-agah ki dhun mein daman phaDe qais bane

sahra sahra KHak uDae insan kitna pyara hai

le ke harim-e-naz us ke shirin shirin naghmon ko

'dauran' ki tauqir baDhae insan kitna pyara hai

(615) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tariki Mein Dip Jalae Insan Kitna Pyara Hai In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. Tariki Mein Dip Jalae Insan Kitna Pyara Hai is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem Tariki Mein Dip Jalae Insan Kitna Pyara Hai for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download Tariki Mein Dip Jalae Insan Kitna Pyara Hai in PDF.