Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai

zabt ki had se bhi jis waqt guzar jata hai

dard honTon pe hansi ban ke bikhar jata hai

rang bhar jata hai phir ishq ke afsane mein

ashk ban ban ke agar KHun-e-jigar jata hai

aaj tak aalam-e-wahshat mein piye jate hain

kitni muddat mein ghaTaon ka asar jata hai

jam pi lete hain sab dekhna hai zarf magar

kaun kis waqt uTha aur kidhar jata hai

daur-e-wahshat mein mohabbat mein junun mein insan

jo na mumkin ho kisi taur wo kar jata hai

apne beganon se kuchh besh the aazari mein

baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai

kitna be-KHauf ho be-dard na kyun ho aaKHir

aaina dekh ke aamal se Dar jata hai

waqt kaT jae agar aalam-e-tanhai mein

dil mein ehsas-e-mulaqat hi mar jata hai

wo jo duniya ki haqiqat ko samajh le insan

apni manzil ki taraf sina-sipar jata hai

aalam-e-naz mein kuchh bhi to nahin tere siwa

ek tasawwur hai jo ta-hadd-e-nazar jata hai

sainkaDon dagh chamakte hain tah-e-qalb ai 'shauq'

kitni gahrai mein uf aks utar jata hai

(3859) Peoples Rate This

Shoque Moradabadi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai In English By Famous Poet Shoque Moradabadi. Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai is written by Shoque Moradabadi. Read famous Poem Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai for youth and Student by Shoque Moradabadi. Free Download Zabt Ki Had Se Bhi Jis Waqt Guzar Jata Hai in PDF.