Mujhe Dil Ki KHata Par Yas Sharmana Nahin Aata

mujhe dil ki KHata par 'yas' sharmana nahin aata

paraya jurm apne nam likhwana nahin aata

mujhe ai naKHuda aaKHir kisi ko munh dikhana hai

bahana kar ke tanha par utar jaana nahin aata

musibat ka pahaD aaKHir kisi din kaT hi jaega

mujhe sar mar kar teshe se mar jaana nahin aata

dil-e-be-hausla hai ek zara si Thes ka mehman

wo aansu kya piyega jis ko gham khana nahin aata

sarapa raaz hun main kya bataon kaun hun kya hun

samajhta hun magar duniya ko samjhana nahin aata

(1549) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Dil Ki KHata Par Yas Sharmana Nahin Aata In English By Famous Poet Yagana Changezi. Mujhe Dil Ki KHata Par Yas Sharmana Nahin Aata is written by Yagana Changezi. Read famous Poem Mujhe Dil Ki KHata Par Yas Sharmana Nahin Aata for youth and Student by Yagana Changezi. Free Download Mujhe Dil Ki KHata Par Yas Sharmana Nahin Aata in PDF.