Nazron Mein Kahan Uski Wo Pahla Sa Raha Main

nazron mein kahan us ki wo pahla sa raha main

hansta hun ki kya soch ke karta tha wafa main

tu kaun hai ai zehn ki dastak ye bata de

har bar ki aawaz pe deta hun sada main

yaad aata hai bachpan mein bhi ustad ne mere

jis rah se roka tha wahi rah chala main

ji KHush hua dekhe se ki aazad faza hai

basti se guzarta hua sahra mein ruka main

muddat hui dekhe hue wo shahr-e-nigaran

ai dil kahin bhula to nahin teri ada main

manzil ki talab mein na tha aasan guzarna

patthar the bahut rah mein gir gir ke uTha main

kya din hain ki ab maut ki KHwahish hai barabar

kya din the ki jab jine ki karta tha dua main

sach kahiyo ki waqif ho mere haal se 'amir'

duniya hai KHafa mujh se ki duniya se KHafa main

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazron Mein Kahan Uski Wo Pahla Sa Raha Main In English By Famous Poet Yaqoob Aamir. Nazron Mein Kahan Uski Wo Pahla Sa Raha Main is written by Yaqoob Aamir. Read famous Poem Nazron Mein Kahan Uski Wo Pahla Sa Raha Main for youth and Student by Yaqoob Aamir. Free Download Nazron Mein Kahan Uski Wo Pahla Sa Raha Main in PDF.