Tha Us Ka Jaisa Amal Wo Hi Yar Main Bhi Karun

tha us ka jaisa amal wo hi yar main bhi karun

rida-e-waqt ko kya dagh-dar mein bhi karun

muaf mujh ko na karna kisi bhi surat se

zamane tujh ko agar ashk-bar main bhi karun

mile jo mujh ko bhi fursat gham-e-zamana se

kisi ke samne zikr-e-bahaar main bhi karun

jo Dale rahte hain chehron pe maslahat ki naqab

kya aise logon mein tera shumar main bhi karun

KHuda kare ki tujhe wo maqam bhi ho nasib

jahan pahunch ke tera eatibar mein bhi karun

saliqa mujh ko jo aa jae sher kahne ka

ki ghazal-e-'mir' se naqsh-o-nigar main bhi karun

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Us Ka Jaisa Amal Wo Hi Yar Main Bhi Karun In English By Famous Poet Yaqoob Arif. Tha Us Ka Jaisa Amal Wo Hi Yar Main Bhi Karun is written by Yaqoob Arif. Read famous Poem Tha Us Ka Jaisa Amal Wo Hi Yar Main Bhi Karun for youth and Student by Yaqoob Arif. Free Download Tha Us Ka Jaisa Amal Wo Hi Yar Main Bhi Karun in PDF.