Chahti Hai AaKHir Kya Aagahi KHuda-malum

chahti hai aaKHir kya aagahi KHuda-malum

kitne rang badlegi zindagi KHuda-malum

kal to KHair ai rahbar tere sath rahraw the

aaj kis pe hansti hai gumrahi KHuda-malum

ab bhi subh hoti hai ab bhi din nikalta hai

ja chhipi kahan lekin raushni KHuda-malum

rasti gurezan hai aashti hirasan hai

kis se kis se uljhega aadmi KHuda-malum

ab to waqt aaya hai Dub kar ubharne ka

kitni kashtiyan Dubin aur abhi KHuda-malum

zauq-e-naghma-e-pairai tu hi baDh ke de aawaz

kab se gharq-e-hairat hai KHamushi KHuda-malum

sirf bhik mangi thi hum ne aadamiyat ki

kyun biphar gae 'yaqub' muddai KHuda-malum

(1152) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahti Hai AaKHir Kya Aagahi KHuda-malum In English By Famous Poet Yaqoob Usmani. Chahti Hai AaKHir Kya Aagahi KHuda-malum is written by Yaqoob Usmani. Read famous Poem Chahti Hai AaKHir Kya Aagahi KHuda-malum for youth and Student by Yaqoob Usmani. Free Download Chahti Hai AaKHir Kya Aagahi KHuda-malum in PDF.