Nigah-e-bad-guman Hai Aur Main Hun

nigah-e-bad-guman hai aur main hun

fareb-e-ashiyan hai aur main hun

sharik-e-be-kasi aae kahan se

zamin par aasman hai aur main hun

udhar kya ghurti hai kasmapursi

mera azm-e-jawan hai aur main hun

sarapa-gosh hai subh-e-shab-e-tar

kisi ki dastan hai aur main hun

ghuTa jata hai dam ai soz-e-ehsas

tah-e-daman dhuan hai aur main hun

hawadis ab jise chahen sarahen

nasib-e-dushmanan hai aur main hun

qafas naghmon se gunj uThta hai 'yaqub'

umid-e-KHush-bayan hai aur main hun

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-bad-guman Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Yaqoob Usmani. Nigah-e-bad-guman Hai Aur Main Hun is written by Yaqoob Usmani. Read famous Poem Nigah-e-bad-guman Hai Aur Main Hun for youth and Student by Yaqoob Usmani. Free Download Nigah-e-bad-guman Hai Aur Main Hun in PDF.