Shauq Ki Kam-nigahi Bhi Hai Gawara Mujhko

shauq ki kam-nigahi bhi hai gawara mujh ko

gham to gham aaj KHushi bhi hai gawara mujh ko

justuju sath hai sham-e-rah-e-manzil ban kar

apni be-rah-rawi bhi hai gawara mujh ko

lazzat-e-zist ba-har-taur sabhi ko hai aziz

zahr-e-mina-e-KHudi bhi hai gawara mujh ko

sozan-e-rahm-o-karam karti hai kyun sai-e-rafu

chaak-daman-e-tahi bhi hai gawara mujh ko

aap lillah na farmaen ziyaada zahmat

ab tawajjoh ki kami bhi hai gawara mujh ko

sirf tar-damani-e-dil hi pe israr nahin

chashm-e-pur-nam ki kami bhi hai gawara mujh ko

jurat-e-arz-e-tamanna se hun bad-zan 'yaqub'

zabt ki kam-suKHani bhi hai gawara mujh ko

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Ki Kam-nigahi Bhi Hai Gawara Mujhko In English By Famous Poet Yaqoob Usmani. Shauq Ki Kam-nigahi Bhi Hai Gawara Mujhko is written by Yaqoob Usmani. Read famous Poem Shauq Ki Kam-nigahi Bhi Hai Gawara Mujhko for youth and Student by Yaqoob Usmani. Free Download Shauq Ki Kam-nigahi Bhi Hai Gawara Mujhko in PDF.