Zehn Ka Kuchh Muntashir To Haal Ka KHasta Raha

zehn ka kuchh muntashir to haal ka KHasta raha

kitna meri zat se wo shaKHs wabasta raha

subh-e-kazib raushni ke jal mein aane lagi

sim-gun suraj ujale par kamar-basta raha

dekhne mein kuchh hun main mahsus karne mein hun kuchh

chashm-e-bina par mera ye raaz sar-basta raha

apne zindan se nikalna apni taqat mein nahin

har bashar apne liye zanjir pa-basta raha

pursish-e-gham mein na mujh se hi mahz ujlat hui

us ki aankhon ka chhalak paDna bhi barjasta raha

apne andar ki KHalish ka kar liya main ne ilaj

mere dil mein dusron ka dard paiwasta raha

ya masail se taqabul zindagi se ya farar

bach nikalne ka wahan se ek hi rasta raha

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zehn Ka Kuchh Muntashir To Haal Ka KHasta Raha In English By Famous Poet Yaseen Afzal. Zehn Ka Kuchh Muntashir To Haal Ka KHasta Raha is written by Yaseen Afzal. Read famous Poem Zehn Ka Kuchh Muntashir To Haal Ka KHasta Raha for youth and Student by Yaseen Afzal. Free Download Zehn Ka Kuchh Muntashir To Haal Ka KHasta Raha in PDF.