Karam Nahin To Sitam Hi Sahi Rawa Rakhna

karam nahin to sitam hi sahi rawa rakhna

talluqat wo jaise bhi hon sada rakhna

kuchh is tarah ki hidayat mili hai ab ke mujhe

ki sar pe qahr bhi TuTen to dil baDa rakhna

na aansuon ki rawan nahr aankh se karna

ab us ki yaad bhi aae to hausla rakhna

kise mila hai milega kise murad ka phal

so ghaebana nawazish ki aas kya rakhna

ajab nahin ki warud-e-habib ho jae

zamana tang-nazar hai to dil khula rakhna

jo dosti ke liye be-qarar rahta hai

wo koi chaal na chal jae phir pata rakhna

sitara arsh se TuTega ek farsh ki samt

tum apna ghar dar-o-diwar tak saja rakhna

wafa-shiar bhi qudrat tha ruThne wala

rawayatan bhi na nam is ka bewafa rakhna

(1015) Peoples Rate This

Yaseen Qudrat's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Karam Nahin To Sitam Hi Sahi Rawa Rakhna In English By Famous Poet Yaseen Qudrat. Karam Nahin To Sitam Hi Sahi Rawa Rakhna is written by Yaseen Qudrat. Read famous Poem Karam Nahin To Sitam Hi Sahi Rawa Rakhna for youth and Student by Yaseen Qudrat. Free Download Karam Nahin To Sitam Hi Sahi Rawa Rakhna in PDF.