Kamal-e-shauq-e-safar Bhi Udhar Hi Jata Hai

kamal-e-shauq-e-safar bhi udhar hi jata hai

kisi safar ka musafir ho ghar hi jata hai

wo aadmi hi to hota hai gham ki shiddat se

hazar koshishen kar le bikhar hi jata hai

wo hijr ho ki tere wasl ka koi lamha

wo mustaqil nahin hota guzar hi jata hai

jo is se pahle bhi shishe mein baal aaya ho

to dil kisi nai ulfat se Dar hi jata hai

chaDha hua koi dariya ho ya ki nashsha ho

'yashab' kabhi na kabhi to utar hi jata hai

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kamal-e-shauq-e-safar Bhi Udhar Hi Jata Hai In English By Famous Poet Yashab Tamanna. Kamal-e-shauq-e-safar Bhi Udhar Hi Jata Hai is written by Yashab Tamanna. Read famous Poem Kamal-e-shauq-e-safar Bhi Udhar Hi Jata Hai for youth and Student by Yashab Tamanna. Free Download Kamal-e-shauq-e-safar Bhi Udhar Hi Jata Hai in PDF.