Tark Ulfat Mein Bhi Usne Ye Riwayat Rakkhi

tark ulfat mein bhi us ne ye riwayat rakkhi

rose milne ki purani wahi aadat rakkhi

tu gaya hai to palaT kar nahin puchha main ne

warna barson teri yaadon ki amanat rakkhi

kal achanak koi taswir bani kaghaz par

muddaton sab se chhupa kar teri surat rakkhi

wo muqaddar mein nahin hai to usi ke dil mein

kis ne har shai se ziyaada chahat rakkhi

KHud hi milta hai bichhaDta hai 'yashab' apne liye

aane-jaane ki ajab us ne suhulat rakkhi

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tark Ulfat Mein Bhi Usne Ye Riwayat Rakkhi In English By Famous Poet Yashab Tamanna. Tark Ulfat Mein Bhi Usne Ye Riwayat Rakkhi is written by Yashab Tamanna. Read famous Poem Tark Ulfat Mein Bhi Usne Ye Riwayat Rakkhi for youth and Student by Yashab Tamanna. Free Download Tark Ulfat Mein Bhi Usne Ye Riwayat Rakkhi in PDF.