Jo Chala Gaya So Chala Gaya Jo Hai Pas Us Ka KHayal Rakh

jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh

jo luTa diya use bhul ja jo bacha hai us ko sambhaal rakh

kabhi sar mein sauda sama koi kabhi regzar mein raqs kar

kabhi zaKHm bandh ke panw mein kahin surKH surKH dhamal rakh

jo churai hai shab-e-tar se kai ratjagon ko guzar ke

wahi kajalon ki lakir hai apni aankh mein Dal Dal rakh

kisi tara tara firaq se koi guftugu koi baat kar

ye jawab-gah-e-shuur hai koi apne pas sawal rakh

tere dard sare giran-baha teri wahshaten hain azim-tar

wahi baal khol ke bain kar wahi sham-e-sahn-e-malal rakh

jahan laghzishon se mafar nahin ye wo aagahi ka maqam hai

yahan hast-o-bud ko bhul ja nai qurbaton se visal rakh

ye jo raushni ka hai daera ye rahin-e-shams-o-qamar nahin

tere bas mein kab tha ki ab rahe tu uruj rakh ya zawal rakh

(1523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Chala Gaya So Chala Gaya Jo Hai Pas Us Ka KHayal Rakh In English By Famous Poet Yasmeen Habeeb. Jo Chala Gaya So Chala Gaya Jo Hai Pas Us Ka KHayal Rakh is written by Yasmeen Habeeb. Read famous Poem Jo Chala Gaya So Chala Gaya Jo Hai Pas Us Ka KHayal Rakh for youth and Student by Yasmeen Habeeb. Free Download Jo Chala Gaya So Chala Gaya Jo Hai Pas Us Ka KHayal Rakh in PDF.