Teri Yaaden Bhi Nahin Gham Bhi Nahin Tu Bhi Nahin

teri yaaden bhi nahin gham bhi nahin tu bhi nahin

kitni viran hai ye aankh ki aansu bhi nahin

mere dil ko mere ehsas ko chhu jati thi

bhige bhige tere baalon ki wo KHushbu bhi nahin

hae wo pahle-pahal teri judai ki ghaDi

ab to pine ki koi chah koi KHu bhi nahin

jo gham-e-dahr ki rahon ko hasin-tar kar de

bahke bahke tere qadmon ka wo jadu bhi nahin

ab gunahgar nazar ki hai kahan ja-e-panah

rah mein dur talak koi pari-ru bhi nahin

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Yaaden Bhi Nahin Gham Bhi Nahin Tu Bhi Nahin In English By Famous Poet Yusuf Taqi. Teri Yaaden Bhi Nahin Gham Bhi Nahin Tu Bhi Nahin is written by Yusuf Taqi. Read famous Poem Teri Yaaden Bhi Nahin Gham Bhi Nahin Tu Bhi Nahin for youth and Student by Yusuf Taqi. Free Download Teri Yaaden Bhi Nahin Gham Bhi Nahin Tu Bhi Nahin in PDF.