Waise To The Yar Bahut Par Kisi Ne Mujhe Pahchana Tha

waise to the yar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha

tum ne bas ek samjha mujh ko tum ne bas ek jaana tha

tum bin sajni jiwan apna suna aangan TuTa sapna

dil ko tum se rah thi utni hum ne kab ye jaana tha

main to papi meri KHatir apna sab kuchh dan kiya kyun

duniya jaisi pyari basti aise chhoD ke jaana tha

maut aur dil par kisi ko qabu aae to apni marzi aae

meri KHatir jaan ganwana yaro ek bahana tha

main ne yaro tum se suna tha waqt ka marham bhar de har gham

agli pichhli sari baaten mujh ko bhul hi jaana tha

bhor ka bichhDa sanjh ko lauTa apne kiye par pahron roya

dil ki bina TuT gai thi phir bhi tum ko gana tha

(1221) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waise To The Yar Bahut Par Kisi Ne Mujhe Pahchana Tha In English By Famous Poet Yusuf Taqi. Waise To The Yar Bahut Par Kisi Ne Mujhe Pahchana Tha is written by Yusuf Taqi. Read famous Poem Waise To The Yar Bahut Par Kisi Ne Mujhe Pahchana Tha for youth and Student by Yusuf Taqi. Free Download Waise To The Yar Bahut Par Kisi Ne Mujhe Pahchana Tha in PDF.