Main Jina Chahta Hun Magar

main jina chahta hun

magar kiDe-makoDon aur be-maya maKHluqat ki tarah

reng reng kar nahin!

main jina chahta hun

magar apne baatin mein

kulbulate shar par

zahiri aKHlaq ki rida

Dal kar nahin

main jina chahta hun

magar aise nahin

ki mere wajud ke andar

bughz hawas aur riya-kari ki barudi surangen

bichhi hon

aur har lahza har pal

ye KHauf

ki kab koi

remote control se

ana aur ghairat ehsas aur jazbe

ki KHub-surat imaraton ko

Dha de

main jina chahta hun

apne pure wajud ki sari ikaiyon ke sath

aur mujhe ye ehsas na satae

ki ye zindagi

kisi ki bhik mein di hui sanson ka hissa hai

main jina chahta hun

ek aisi duniya mein

jahan mulk-giri ke junun

itne shadid na hon ki

itemi tawanai se mumayyaz aalat faza ko masmum kar den

insan us ki hazaron barson ki purani qadren

aisi pamal ho jaen jaise haqir zarre

magar main jaanta hun

ye sab mumkin nahin

to main marna chahunga

par aisi maut nahin

ki meri lash ko

qabristan tak pahunchane mein

takalluf majburi aur zabardasti ka shaiba ho

ya dua mein hilte hue lab

aur uThae hue hath

majburan o rasman hon

han aisi maut jo kisi ki aankhon mein

Thahre hue chand qatre

KHamoshi se mere kafan mein

jazb ho jaen

aur bas!!

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jina Chahta Hun Magar In English By Famous Poet Yusuf Taqi. Main Jina Chahta Hun Magar is written by Yusuf Taqi. Read famous Poem Main Jina Chahta Hun Magar for youth and Student by Yusuf Taqi. Free Download Main Jina Chahta Hun Magar in PDF.