Kya DhunDne Aae Ho Nazar Mein

kya DhunDne aae ho nazar mein

dekha hai tumhin ko umr-bhar mein

meayar-e-jamal-o-rang-o-bu the

wo jab tak rahe meri chashm-e-tar mein

ab KHwab-o-KHayal ban gae ho

ab dil mein raho, raho nazar mein

wo rang tumhaare kaam aaya

uDta hai jo gham ki dopahar mein

hae ye tawil o sard raaten

aur ek hayat-e-muKHtasar mein

ab surat-e-haal ban gaya hun

milta hun nigah-e-chaaragar mein

ya aur sitare aur shabnam

ya mar rahen daman-e-sahar mein

ya manzil-e-mahr-o-mah bhi hai

ya rah-e-farar hai safar mein

wo bhi to 'zafar' se KHush nahin hain

rahte hain jo dida-e-'zafar' mein

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya DhunDne Aae Ho Nazar Mein In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Kya DhunDne Aae Ho Nazar Mein is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Kya DhunDne Aae Ho Nazar Mein for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Kya DhunDne Aae Ho Nazar Mein in PDF.