Wadi-e-nil

jamal-e-marg-afrin! ye shab meri zindagi hai

nichoD de is ke chand lamhon ki ishraton mein

wo mai wo nashsha ki saghar-e-mah-e-visal mein hai

wo mai ki tere jamal mein hai

visal mein hai

visal! tera visal wo shoala-e-ajal hai

ki jis mein jal kar kai patinge abad ki manzil ko pa chuke hain

abad ki manzil!

sehr ki pahli kiran wo nagan

ki mere sine se aaKHiri sans ban ke palTegi aa meri jaan!

jamal-e-marg-afrin! ye shab meri zindagi hai

mere labon ne wo lab bhi chume hain jin mein marg-e-giran nahin thi

wo phul se lab ki jin ki tahdar pattiyon mein

tamazat-e-baada-e-wafa thi

mere jawan-sal bazuon ne

dhaDakte marmar ki un chaTanon se ras nichoDa hai zindagi ka

jinhen guman tha ki mere pahlu mein dam nikalna hi zindagi hai

mere hi sine pe jagti hain abhi wo raaten

ki jin mein ubhre hain aaftab-e-jamal meri masarraton ke

wo aaftab-e-jamal jo kal sahar ki pahli kiran ke Dasne se

mere ham-rah jal bujhenge

tere tabassum ki lau ubharti hi ja rahi hai

tujhe nazar aa rahi hai shayad wo zist jo lash ban ke taDpegi

kal sahar ko

magar main kuchh aur dekhta hun

agar main ye shab guzar deta gurisna sheron ke jangalon mein

jahan har ek lahza maut munh phaD kar jhapaTti hai

bebasi par

agar main ye shab guzar deta kisi samundar ke sard sine ki dhonkni par

jahan har ek lahza maut munh phaD kar jhapaTti hai

bebasi par

agar main ye shab guzar deta kisi gham-e-marg-afrin mein

ki jis ke changul mein lahza lahza lahu Tapakta hai aarzu ka

ajab na tha aaj shab agar mera koi dushman

mere badan se ye nok-e-KHanjar nikal deta wo KHun jo ab meri zindagi hai

jo ab tere paikar-e-masarrat ki wadiyon mein

meri haqiqat ka raaz-dan hai

qubul hai mujh ko aaj ki shab sahar hai jis ki abad ki manzil

jamal-e-marg aafrin ye shab meri zindagi hai

mera muqaddar ki aaj ki shab hai mujh ko hasil ye tera paikar

mera muqaddar ki main ne KHud maut ko pukara hai teri KHatir

mera muqaddar ki main hun wo maut ka musafir

jo apni manzil pe aa gaya hai tere shabistan mein KHud Thahar kar

tere labon se hayat pa kar

tere jamal-e-hayat-parwar se lau laga kar

teri nigahon ki gahri jhilon mein tair kar, mishalen jala kar

gudaz paikar ki reshmi chilmanen uTha kar

dhaDakte dil mein tarane bo kar zamane la kar

azal abad ko sameT kar, be-karan bana kar

tere badan ki latafaton mein masarrat-e-zindagi mila kar

tere lahu mein sharare bhar kar hararat-e-jawedan basa kar

tere KHumistan-e-dilbari ko jahan mein ek dastan bana kar

tujhe ajal se qarib la kar

haqiqat-e-zindagi dikha kar

ki main hun wo maut ka musafir

tere shabistan ke chor darwaze se guzar kar

jo apni manzil pe aa gaya hai

wo log jo ro rahe hain mujh ko

ki main ne KHud maut ko pukara hai teri KHatir

wo log kya jaanen zindagi ko

unhen KHabar kya ki maut har lahza un ki hasti ko kha rahi hai

unhen KHabar kya ki zindagi kya hai main samajhta hun zindagi ko

ki aaj ki shab ye zindagi meri zindagi hai

ye zindagi hai meri jise main ne aaj ki shab

tere masarrat-kade mein la kar

abad se ham-dosh kar diya hai

ajal ko KHamosh kar diya hai

thirak raha hai tera badan lazzat-e-tarab se

chamak rahi hain teri nigahen KHumar-e-shab se

uchak uchak kar sahar mujhe dekhne lagi hai

sahar ka tha intizar kab se

(1112) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wadi-e-nil In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Wadi-e-nil is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Wadi-e-nil for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Wadi-e-nil in PDF.