KHusha Ai ZaKHm Ki Surat Nai Nikalti Hai

KHusha ai zaKHm ki surat nai nikalti hai

bajae KHun ke ab raushni nikalti hai

nigah-e-lutf ho is dil pe bhi o-shisha-ba-dast

is aaine se bhi surat teri nikalti hai

mere harif hain masruf harf-sazi mein

yahan to saut-e-yaqin aap hi nikalti hai

zuban-burida shikasta-badan sahi phir bhi

khaDe hue hain aur aawaz bhi nikalti hai

tamam shahr hai ek miThe bol ka sail

hamari jeb se han ye KHushi nikalti hai

ek aisa waqt bhi sair-e-chaman mein dekha hai

kali ke sine se jab be-kali nikalti hai

kisi ke raste ki KHak mein paDe hain 'zafar'

mata-e-umr yahi aajizi nikalti hai

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHusha Ai ZaKHm Ki Surat Nai Nikalti Hai In English By Famous Poet Zafar Ajmi. KHusha Ai ZaKHm Ki Surat Nai Nikalti Hai is written by Zafar Ajmi. Read famous Poem KHusha Ai ZaKHm Ki Surat Nai Nikalti Hai for youth and Student by Zafar Ajmi. Free Download KHusha Ai ZaKHm Ki Surat Nai Nikalti Hai in PDF.