Jab Bhi Mazi Ke Nazare Ko Nazar Jaegi

jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi

sham ashkon ke sitaron se sanwar jaegi

kya bataun ki kahan tak ye nazar jaegi

ek din hadd-e-tayyun se guzar jaegi

jab bhi us ke ruKH-e-raushan ka KHayal aaega

chandni dil ke shabistan mein utar jaegi

har sitam karne se pahle ye zara soch bhi le

main jo bikhra to teri zulf bikhar jaegi

main ye samjhunga mujhe mil gai meraj-e-wafa

zindagi gar teri yaadon mein guzar jaegi

us taraf apni mohabbat ki kahani hogi

ye hawa bu-e-wafa le ke jidhar jaegi

kya KHabar thi ki 'zafar' ruh meri duniya mein

aarzuon se kuchal kar kabhi mar jaegi

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Mazi Ke Nazare Ko Nazar Jaegi In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Jab Bhi Mazi Ke Nazare Ko Nazar Jaegi is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Jab Bhi Mazi Ke Nazare Ko Nazar Jaegi for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Jab Bhi Mazi Ke Nazare Ko Nazar Jaegi in PDF.