Mohabbat Ki Bulandi Se Kabhi Utra Nahin Jata

mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata

tera dar chhoD ke mujh se kahin jaya nahin jata

main apni dastan-e-gham suna deta tujhe lekin

tera utra hua chehra mujhe dekha nahin jata

buzurgon ki duaen bhi safar mein sath hoti hain

bigaDega koi kya main kahin tanha nahin jata

gharibon ko hiqarat ki nazar se dekhte hain jo

kabhi aise amiron ke yahan jaya nahin jata

ghamon ki dhup mein kuchh is tarah badla mera chehra

ki mere doston se bhi ye pahchana nahin jata

thaka hun rah-e-manzil ka mujhe sona zaruri hai

magar kuchh baat hi aisi hai jo soya nahin jata

yahi sauda-garan-fan se kahna hai 'zafar' mujh ko

ghazal ko chand sikkon ke ewaz becha nahin jata

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ki Bulandi Se Kabhi Utra Nahin Jata In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Mohabbat Ki Bulandi Se Kabhi Utra Nahin Jata is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Mohabbat Ki Bulandi Se Kabhi Utra Nahin Jata for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Mohabbat Ki Bulandi Se Kabhi Utra Nahin Jata in PDF.