Chal PaDe Hum Dasht-e-be-saya Bhi Jangal Ho Gaya

chal paDe hum dasht-e-be-saya bhi jangal ho gaya

ham-safar jab mil gae jangal mein mangal ho gaya

main tha baghi KHushk qatra baadalon ke des ka

sang-dil lamhon se Takraya to jal-thal ho gaya

han utar aati hain is wadi mein pariyan chand ki

kahte hain ek ajnabi sayyah pagal ho gaya

ras bhari barsat mein khilne laga dharti ka rup

jism ka aakash us KHushbu se bekal ho gaya

dur khiski ja rahi hai panw ke niche zamin

sar ke upar aasman aaankhon se ojhal ho gaya

kitne qarnon ne tarasha us but-e-bedard ko

kitni naslon ka lahu us jism mein hal ho gaya

umr bhar donon ko qaid-e-bahami ki di saza

wo jo ighwa ka muqadma tha so faisal ho gaya

har nafas hai sang-bari dil ke kachche ghaw par

lamha lamha zindagi ka kitna bojhal ho gaya

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chal PaDe Hum Dasht-e-be-saya Bhi Jangal Ho Gaya In English By Famous Poet Zafar Ghauri. Chal PaDe Hum Dasht-e-be-saya Bhi Jangal Ho Gaya is written by Zafar Ghauri. Read famous Poem Chal PaDe Hum Dasht-e-be-saya Bhi Jangal Ho Gaya for youth and Student by Zafar Ghauri. Free Download Chal PaDe Hum Dasht-e-be-saya Bhi Jangal Ho Gaya in PDF.