Jari Hai Kab Se Marka Ye Jism-o-jaan Mein Sard Sa

jari hai kab se marka ye jism-o-jaan mein sard sa

chhup chhup ke koi mujh mein hai mujh se hi ham-nabard sa

jate kahan ki zer-e-pa tha ek bahr-e-KHun-kinar

uDte to bar-e-sar bana ek dasht-e-laj-ward sa

kis chandni ki aankh se bikhri shafaq ki ret mein

moti sa Dhal ke gir paDa sham ke dil ka dard sa

nazuk labon ki pankhuDiyan tharthara tharthara gain

tez-rau baad-e-dard thi chehra tha gard gard sa

mehndi rachi bahaar ka aangan KHushi se bhar gaya

mehman hai ghar mein aaj wo chand sunahra zard sa

dekha to ahl-e-shahr sab us ko hi lene aae the

ek ajnabi jo sath tha rah mein kam-naward sa

kis dast-e-naz mein 'zafar' aaina-e-wajud tha

bikhra hun kaenat mein har samt fard fard sa

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jari Hai Kab Se Marka Ye Jism-o-jaan Mein Sard Sa In English By Famous Poet Zafar Ghauri. Jari Hai Kab Se Marka Ye Jism-o-jaan Mein Sard Sa is written by Zafar Ghauri. Read famous Poem Jari Hai Kab Se Marka Ye Jism-o-jaan Mein Sard Sa for youth and Student by Zafar Ghauri. Free Download Jari Hai Kab Se Marka Ye Jism-o-jaan Mein Sard Sa in PDF.