Pal Pal Jine Ki KHwahish Mein Karb-e-sham-o-sahar Manga

pal pal jine ki KHwahish mein karb-e-sham-o-sahar manga

sab the nashat-e-nafa ke pichhe hum ne ranj-e-zarar manga

ab tak jo dastur-e-junun tha hum ne wahi manzar manga

sahra dil ke barabar chaha aur ya aankhon bhar manga

abr ke ehsan se bachna tha dil ko hara bhi rakhna tha

hum ne us paude ki KHatir mauja-e-dida-e-tar manga

fasle kuchh qadmon mein sameTe aankhon mein kuchh dhup ke phul

is ke alawa aur na hum ne kuchh saman-e-safar manga

koi sar-o-saman nahin aur aandhi har din ka mamul

hum ne bhi kya soch samajh kar be-diwar ka ghar manga

soch raha hun apni hasti mein apna kya hissa tha

dil par yaron ka haq Thahra aur dushman ne sar manga

khula ki wo bhi teri talab ka ek be-nam tasalsul tha

duniya se jo bhi hum ne haalat ke zer-e-asar manga

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pal Pal Jine Ki KHwahish Mein Karb-e-sham-o-sahar Manga In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Pal Pal Jine Ki KHwahish Mein Karb-e-sham-o-sahar Manga is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Pal Pal Jine Ki KHwahish Mein Karb-e-sham-o-sahar Manga for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Pal Pal Jine Ki KHwahish Mein Karb-e-sham-o-sahar Manga in PDF.