Kaniz-e-waqt Ko Nilam Kar Diya Sab Ne

kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne

ye wahm kya hai baDa kaam kar diya sab ne

koi bhi shaKHs sehat-mand kya nazar aae

munafarat ka sabaq aam kar diya sab ne

mili na jab unhen tabir apne KHwabon ki

phir apni aankhon ko nilam kar diya sab ne

bura samajh ke buzurgon ne jis ko chhoDa tha

wo kar-e-bad KHush-anjam diya sab ne

har ek sach ko to mansub kar liya KHud se

tamam jhuT mere nam kar diya sab ne

jo apne ahd ko sachchai banTta tha 'zafar'

us ek shaKHs ko badnam kar diya sab ne

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaniz-e-waqt Ko Nilam Kar Diya Sab Ne In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Kaniz-e-waqt Ko Nilam Kar Diya Sab Ne is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Kaniz-e-waqt Ko Nilam Kar Diya Sab Ne for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Kaniz-e-waqt Ko Nilam Kar Diya Sab Ne in PDF.