Pai Hamesha Ret Bhanwar KaTne Ke Baad

pai hamesha ret bhanwar kaTne ke baad

tishna-labi ka lamba safar kaTne ke baad

kuchh aise kam-nazar bhi musafir hamein mile

jo saya DhunDte hain shajar kaTne ke baad

fan ki hamare aaj bhi shohrat hai har taraf

wo mutmain tha dast-e-hunar kaTne ke baad

utri hui hai dhup badan ke hisar mein

qurbat ke faslon ka safar kaTne ke baad

shewa to zabt ka hai magar kya karun 'zafar'

baDhti hai pyas aur bhi sar kaTne ke baad

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pai Hamesha Ret Bhanwar KaTne Ke Baad In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Pai Hamesha Ret Bhanwar KaTne Ke Baad is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Pai Hamesha Ret Bhanwar KaTne Ke Baad for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Pai Hamesha Ret Bhanwar KaTne Ke Baad in PDF.