Hamare Sar Se Wo Tufan Kahin Guzar Gae Hain

hamare sar se wo tufan kahin guzar gae hain

chaDhe hue the jo dariya sabhi utar gae hain

rahe nahin hain kabhi ek haal par qaem

simaT gae hain kabhi aur kabhi bikhar gae hain

usul hai ki KHala yunhi rah nahin sakta

hue hain KHud se jo KHali so tujh se bhar gae hain

ruke bhi hain to dobara rawangi ke liye

chale bhi hain to kahin rah mein Thahar gae hain

tumhaare ahd-e-taghaful mein ji rahe hain abhi

hua hai kuchh tumhein hasil na hum hi mar gae hain

nikal paDe to phir apna suragh mil na saka

tumhaare pas hi pahunche na apne ghar gae hain

wahi hai daera-e-KHwab ibtida-e-safar

usi qadar hue wapas bhi jis qadar gae hain

isi kami ka hai ehsas aur hairani

hain aur to sabhi maujud hum kidhar gae hain

'zafar' hamari mohabbat ka silsila hai ajib

jahan chhupa nahin pae wahan mukar gae hain

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Sar Se Wo Tufan Kahin Guzar Gae Hain In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Hamare Sar Se Wo Tufan Kahin Guzar Gae Hain is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Hamare Sar Se Wo Tufan Kahin Guzar Gae Hain for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Hamare Sar Se Wo Tufan Kahin Guzar Gae Hain in PDF.