Mausam Ka Hath Hai Na Hawa Hai KHalaon Mein

mausam ka hath hai na hawa hai KHalaon mein

phir us ne kiya tilism rakha hai KHalaon mein

jo TuTti bikharti si rahti hai raat din

kuchh is tarah ki ek sada hai KHalaon mein

jari hai raushni ka safar dur dur tak

kya khel koi khel raha hai KHalaon mein

manzar bhi muKHtalif hain juda is ke rang bhi

jis tarha koi KHwab-e-nawa hai KHalaon mein

jari hai kahkashaon ki baraat is tarah

mela sa jaise koi laga hai KHalaon mein

sanat-gari ki ramz alag hai zamin par

karigari ka raaz juda hai KHalaon mein

raftar aur waqt ka andaza hai kuchh aur

fitrat ki muKHtalif hi ada hai KHalaon mein

is kaenat ki koi had hi nahin 'zafar'

apna hi us ne tarz rakha hai KHalaon mein

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam Ka Hath Hai Na Hawa Hai KHalaon Mein In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Mausam Ka Hath Hai Na Hawa Hai KHalaon Mein is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Mausam Ka Hath Hai Na Hawa Hai KHalaon Mein for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Mausam Ka Hath Hai Na Hawa Hai KHalaon Mein in PDF.