UTh Aur Phir Se Rawana Ho Dar Ziyaada Nahin

uTh aur phir se rawana ho Dar ziyaada nahin

bahut kaThin sahi manzil safar ziyaada nahin

bayan mein apne sadaqat ki hai kami warna

ye raaz kya hai ki is par asar ziyaada nahin

mujhe KHarab kiya us ne han kiya hoga

usi se puchhiye mujh ko KHabar ziyaada nahin

suna hai wo mere bare mein sochta hai bahut

KHabar to hai hi magar mo'atabar ziyaada nahin

ye justuju to rahe kaun hai wo kaisa hai

suragh kuchh to malega agar ziyaada nahin

abhi rawana hun yaksui se main dasht-ba-dasht

ki rahguzar-e-safar mein shajar ziyaada nahin

jabhi to KHar-e-dil-e-dostan nahin hun abhi

ki aib mujh mein bahut hain hunar ziyaada nahin

dinon ki baat hai ab kimiya-gari apni

ki rah gai hai zara si kasar ziyaada nahin

'zafar' hum aap ko gumrah to nahin kahte

yahi ki hain bhi agar rah par ziyaada nahin

(1193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UTh Aur Phir Se Rawana Ho Dar Ziyaada Nahin In English By Famous Poet Zafar Iqbal. UTh Aur Phir Se Rawana Ho Dar Ziyaada Nahin is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem UTh Aur Phir Se Rawana Ho Dar Ziyaada Nahin for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download UTh Aur Phir Se Rawana Ho Dar Ziyaada Nahin in PDF.