Yun To Hai Zer-e-nazar Har Majra Dekha Hua

yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua

phir nahin dekha hai wo rang-e-hawa dekha hua

wo tera tarz-e-taghaful ye tera begana-pan

wo alag dekha hua hai ye juda dekha hua

dekhte the jis ko pahli bar hairani se hum

asl mein pahle hamara wo bhi tha dekha hua

toD kar hi aarzu pahunchi kahin payan-e-kar

ghup-andhere mein koi band-e-qaba dekha hua

dekhna paDta hai kya batlaen phir kyun bar bar

wo jo manzar tha hamara bar-ha dekha hua

farq hi donon mein kuchh baqi nahin ab to koi

kya nahin dekha hua hai aur kya dekha hua

ajnabi mere liye phir bhi hai kyun mera wajud

dar-ba-dar DhunDa hua aur ja-ba-ja dekha hua

ye jo an-dekhi guzargahon pe hain mere qadam

shayad in mein bhi hai koi rasta dekha hua

jo nai tarz-o-rawish mujh ko dikhate ho 'zafar'

ye to meri jaan sab kuchh hai mera dekha hua

(1124) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Hai Zer-e-nazar Har Majra Dekha Hua In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Yun To Hai Zer-e-nazar Har Majra Dekha Hua is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Yun To Hai Zer-e-nazar Har Majra Dekha Hua for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Yun To Hai Zer-e-nazar Har Majra Dekha Hua in PDF.