In Dinon Main Ghurbaton Ki Sham Ke Manzar Mein Hun

in dinon main ghurbaton ki sham ke manzar mein hun

meri chhat TuTi paDi hai dusron ke ghar mein hun

aaega ek din mere uDne ka mausam aaega

bas isi ummid par main apne baal-o-par mein hun

jism ki ranaiyon mein DhunDte ho tum mujhe

aur main kab se tumhaari ruh ke paikar mein hun

dekhte hain sab nazar aati huin unchaiyan

kaun dekhega mujhe buniyaad ke patthar mein hun

aap kya rokengi izhaar-e-sadaqat se mujhe

aap ko duniya ka Dar hai main KHuda ke Dar mein hun

ai zamane kal meri Thokar se bachna hai tujhe

ittifaqan aaj waise main teri Thokar mein hun

maut ban jaunga teri ai sitamgar dekhna

mujh pe jo KHanjar uThega main usi KHanjar mein hun

nafraton ki ek dahakti aag hai chaaron taraf

main fasad-e-shahr ke jalte hue manzar mein hun

sochta hun ye bhi kaisi bad-nasibi hai 'zafar'

main bahadur ho ke bhi haare hue lashkar mein hun

(1118) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Dinon Main Ghurbaton Ki Sham Ke Manzar Mein Hun In English By Famous Poet Zafar Kaleem. In Dinon Main Ghurbaton Ki Sham Ke Manzar Mein Hun is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem In Dinon Main Ghurbaton Ki Sham Ke Manzar Mein Hun for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download In Dinon Main Ghurbaton Ki Sham Ke Manzar Mein Hun in PDF.