Khul Gain Aankhen Ki Jab Duniya Ka Sach Hum Par Khula

khul gain aankhen ki jab duniya ka sach hum par khula

apne andar sab khule hain kaun hai bahar khula

qatl se pahle zara chiKHon pe ek maqtul ki

kuchh dariche to khule lekin na koi dar khula

tang ho jae zamin bhi ab to koi gham nahin

hum faqiron ke liye hai aasman sar par khula

aadmi ke zahir-o-baatin mein kitna farq hai

aaj dauran-e-masafat hum pe ye manzar khula

do duaen shah ko jin ke zamane mein 'zafar'

wo pazirai hui 'ghaalib' ka har jauhar khula

(1228) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khul Gain Aankhen Ki Jab Duniya Ka Sach Hum Par Khula In English By Famous Poet Zafar Kaleem. Khul Gain Aankhen Ki Jab Duniya Ka Sach Hum Par Khula is written by Zafar Kaleem. Read famous Poem Khul Gain Aankhen Ki Jab Duniya Ka Sach Hum Par Khula for youth and Student by Zafar Kaleem. Free Download Khul Gain Aankhen Ki Jab Duniya Ka Sach Hum Par Khula in PDF.