Jaan Rahe Nochte Hayat Ke Dukh

jaan rahe nochte hayat ke dukh

zat ke aur kaenat ke dukh

kuchh bigaDa na waqt ne in ka

hain jawan ab bhi mere sath ke dukh

roz-marra ka ban gae mamul

roz-marra muamalat ke dukh

fatah ne bhi shikast-o-reKHt hi di

jit se munsalik the mat ke dukh

rah gaya ab junun hi kam-amez

ishq mein to hain baat baat ke dukh

hum gharibon ke roz-o-shab na puchh

din mein bhi jagte hain raat ke dukh

TuTne mein hi aafiyat thi 'rabab'

jhelta kaun ehtiyat ke dukh

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Rahe Nochte Hayat Ke Dukh In English By Famous Poet Zafar Rabab. Jaan Rahe Nochte Hayat Ke Dukh is written by Zafar Rabab. Read famous Poem Jaan Rahe Nochte Hayat Ke Dukh for youth and Student by Zafar Rabab. Free Download Jaan Rahe Nochte Hayat Ke Dukh in PDF.