Ye Kya Tahrir Pagal Likh Raha Hai
ye kya tahrir pagal likh raha hai
har ek pyase ko baadal likh raha hai
na ro gustaKH beTe ke amal par
tera guzra hua kal likh raha hai
paDho har mauj aayat ki tarah hai
wo dariya par musalsal likh raha hai
thame pani ko tabdili mubarak
hawa ka hath halchal likh raha hai
tujhe chhuna nirala tajraba tha
wo jhuTa hai jo maKHmal likh raha hai
bana kar shahr ka naqsha wo bachcha
baDe harfon mein jangal likh raha hai
KHuda-e-amn jo kahta hai KHud ko
zamin par KHud hi maqtal likh raha hai
(1179) Peoples Rate This