Zahr-e-saat Hi Piyen Jism Tah-e-KHak To Ho

zahr-e-saat hi piyen jism tah-e-KHak to ho

sard aaankhon mein koi KHwahish-e-napak to ho

hum bhi raushan hon utaren ye gunahon ka libas

tu baraste hue pani ki tarah pak to ho

munjamid KHun ragon ka hai ise pi jaen

raat ka zaKHm-e-siyah-rang jigar-chaak to ho

jism-e-KHaki se bhi tanwir ka rishta hai zarur

surKH shoalon se lipaT ja KHas-o-KHashak to ho

aaj phir zehn ki shaKHon pe hain shoalon ke gulab

chashm-e-sang un ko bhi dekhe zara namnak to ho

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahr-e-saat Hi Piyen Jism Tah-e-KHak To Ho In English By Famous Poet Zafar Siddiqui. Zahr-e-saat Hi Piyen Jism Tah-e-KHak To Ho is written by Zafar Siddiqui. Read famous Poem Zahr-e-saat Hi Piyen Jism Tah-e-KHak To Ho for youth and Student by Zafar Siddiqui. Free Download Zahr-e-saat Hi Piyen Jism Tah-e-KHak To Ho in PDF.