Abhi Se Aa Gain Nam-e-KHuda Hain ShoKHiyan Kya-kya
abhi se aa gain nam-e-KHuda hain shoKHiyan kya-kya
meri taqdir ban ban kar badalti hai zaban kya-kya
mujhe gardish mein rakhti hai nigah-e-dil-sitan kya-kya
meri qismat dikhati hai mujhe nairangiyan kya-kya
nigahon mein haya hai aur haya mein hai nihan kya-kya
tabiat mein basi hain KHair se ranginiyan kya-kya
faqat ek sadgi par shoKHiyon ke hain guman kya-kya
ada-e-KHamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya-kya
dil-e-KHun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain
bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-KHizan kya-kya
nigahen bad-gumani se kahan ja-ja ke laDti hain
meri aankhon mein hain dushman ki bazm-araiyan kya-kya
tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain
hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya-kya
abhi se ban gai mushkil abhi to dur hai manzil
mujhe ruswa karengi dekhiye betabiyan kya-kya
wo jitne dur khinchte hain talluq aur baDhta hai
nazar se wo jo pinhan hain to dil mein hain ayan kya-kya
(1239) Peoples Rate This