Dil Gaya Dil Ka Nishan Baqi Raha

dil gaya dil ka nishan baqi raha

dil ki ja dard-e-nihan baqi raha

kaun zer-e-asman baqi raha

nek-namon ka nishan baqi raha

ho liye duniya ke pure karobar

aur ek KHwab-e-giran baqi raha

rafta rafta chal base dil ke makin

ab faqat KHali makan baqi raha

chal diye sab chhoD kar ahl-e-jahan

aur rahne ko jahan baqi raha

karwan manzil pe pahuncha umr ka

ab ghubar-e-karwan baqi raha

mil gae miTTi mein kya kya mah-jabin

sab ko kha kar aasman baqi raha

miT gae ban ban ke kya qasr o mahal

nam ko ek la-makan baqi raha

aarzu hi aarzu mein miT gae

aur shauq-e-astan baqi raha

aish o ishrat chal base dil se 'zahir'

dard o gham bahr-e-nishan baqi raha

(1209) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Gaya Dil Ka Nishan Baqi Raha In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Dil Gaya Dil Ka Nishan Baqi Raha is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Dil Gaya Dil Ka Nishan Baqi Raha for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Dil Gaya Dil Ka Nishan Baqi Raha in PDF.