Kuchh Na Kuchh Ranj Wo De Jate Hain Aate Jate

kuchh na kuchh ranj wo de jate hain aate jate

chhoD jate hain shagufe koi jate jate

shauq ban ban ke mere dil mein hain aate jate

dard ban ban ke hain pahlu mein samate jate

KHair se ghair ke ghar roz hain aate jate

aur qasmen bhi mere sar ki hain khate jate

hae milne se hai un ke mujhe jitna eraaz

wo usi darja nazar mein hain samate jate

nahin malum wahan dil mein irada kya hai

wo jo is darja hain iKHlas baDhate jate

lo mere samne ghairon ke gile hote hain

lutf mein bhi to mujhi ko hain satate jate

aaj rukti hai mariz-e-gham-e-ulfat ko shifa

chaaragar dard bhi jaega to jate jate

yahi hamdam mujhe paigham-e-qaza dete hain

ye jo sine mein dam-e-chand hain aate jate

yun hi aaKHir to hua nam aza ka badnam

aae the aa ke janaza bhi uThate jate

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Na Kuchh Ranj Wo De Jate Hain Aate Jate In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Kuchh Na Kuchh Ranj Wo De Jate Hain Aate Jate is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Kuchh Na Kuchh Ranj Wo De Jate Hain Aate Jate for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Kuchh Na Kuchh Ranj Wo De Jate Hain Aate Jate in PDF.