NaKHwat-e-husn Pasand Aai Hai Diwane Ko

naKHwat-e-husn pasand aai hai diwane ko

sar-kashi shama ki manzur hai parwane ko

dekhiye kaun si ja yar ka milta hai pata

koi kabe ko chala hai koi but-KHane ko

teri furqat mein tasawwur hai ye bedardi ka

KHwab hum jaante hain nind ke aa jaane ko

kaam aa jati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki

shama ham-rang bana leti hai parwane ko

gul pe bulbul tha kahin shama pe parwana tha

hum ne har rang mein dekha tere diwane ko

wa-shud-e-dil na hui ghuncha-e-KHatir na khila

kaun se bagh mein aae the hawa khane ko

main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha

dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko

(671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

NaKHwat-e-husn Pasand Aai Hai Diwane Ko In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. NaKHwat-e-husn Pasand Aai Hai Diwane Ko is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem NaKHwat-e-husn Pasand Aai Hai Diwane Ko for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download NaKHwat-e-husn Pasand Aai Hai Diwane Ko in PDF.