Talafi Wafa Ki Jafa Chahta Hun

talafi wafa ki jafa chahta hun

tumhin KHud ye kah do bura chahta hun

koi mol le to bika chahta hun

main sahab se banda hua chahta hun

tumhin chaho mujh ko to kya chahiye phir

main is ke siwa aur kya chahta hun

mera muddaa kya samajhte nahin ho

tumhein chahta hun to kya chahta hun

masiha ho gar tum to apne liye ho

main apne maraz ki dawa chahta hun

tumhein chahun main tum raqibon ko chaho

ye insaf pesh-e-KHuda chahta hun

(922) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Talafi Wafa Ki Jafa Chahta Hun In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Talafi Wafa Ki Jafa Chahta Hun is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Talafi Wafa Ki Jafa Chahta Hun for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Talafi Wafa Ki Jafa Chahta Hun in PDF.