Wo Kisi Se Tumko Jo Rabt Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

wo kisi se tum ko jo rabt tha tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo kisi pe tha koi mubtila tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hum mein tum mein bhi pyar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hum bhi tum bhi the ek-ja tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo banana chehra itab ka wo na dena munh se jawab ka

wo kisi ki minnat o iltija tumhein yaad ho ki na yaad ho

tumhein jis ki chah pe naz tha jo tumhaara mahram-e-raaz tha

main wahi hun aashiq-e-ba-wafa tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hum mein tum mein bhi saz the kabhi hum bhi waqf-e-niyaz the

hamein yaad tha so jata diya tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi bolna wo KHafa KHafa kabhi baiThna wo juda juda

wo zamana naz o niyaz ka tumhein yaad ho ki na yaad ho

abhi thoDe din ka hai tazkira ki raqib kahte the barmala

mere aage tum ko bura-bhala tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hans ke munh ko chhupa liya kabhi muskura ke dikha diya

kabhi shoKHiyan thin kabhi haya tumhein yaad ho ki na yaad ho

jo bana hai aarif-e-ba-KHuda ye wahi 'zahir' hai be-haya

wo jo rind-e-KHana-badosh tha tumhein yaad ho ki na yaad ho

(1088) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kisi Se Tumko Jo Rabt Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Wo Kisi Se Tumko Jo Rabt Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Wo Kisi Se Tumko Jo Rabt Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Wo Kisi Se Tumko Jo Rabt Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho in PDF.