Aaj Ki Tanhai Se Niklo Kal Ki Aabaadi Mein Aao

aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao

jaanan ki turbat se uTTho dauran ko sine se lagao

KHub nahin ye tarz-e-takalluf aaj taaruf ho jaane do

main bhi apne sar ko jhukaun tum bhi apni tegh uThao

TeDhi narden ulTe KHane madd-e-muqabil be-uslub

ye chausar ka khel bhi kya hai chaal chalo to munh ki khao

tum hi qatil tum hi munsif phir bhi mujhe afsos nahin

aaKHir mere dil mein kya hai bujh sako to baat batao

dil ka virana bhi wahi hai teri tamanna bhi hai wahi

zulmat mein raushan hai sitara sahra mein jalta hai alao

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Tanhai Se Niklo Kal Ki Aabaadi Mein Aao In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Aaj Ki Tanhai Se Niklo Kal Ki Aabaadi Mein Aao is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Aaj Ki Tanhai Se Niklo Kal Ki Aabaadi Mein Aao for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Aaj Ki Tanhai Se Niklo Kal Ki Aabaadi Mein Aao in PDF.