Barguzida Hain Hawaon Ke Asar Se Hum Bhi

barguzida hain hawaon ke asar se hum bhi

dekhte hain tujhe duniya ki nazar se hum bhi

apne raste mein baDe log the raftar-shikan

aur kuchh der mein nikle zara ghar se hum bhi

raat us ne bhi kisi lamhe ko mahsus kiya

lauT aae kisi be-waqt safar se hum bhi

sab ko hairat-zada karti hai yahan be-KHabari

chaunk paDte the yun hi pahle KHabar se hum bhi

zard chehre ko baDe shauq se sab dekhte hain

TuTne wale hain sarsabz shajar se hum bhi

kaun sa ghair KHuda jaane yahan hai aisa

burqa oDhe hue aae the idhar se hum bhi

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barguzida Hain Hawaon Ke Asar Se Hum Bhi In English By Famous Poet Zaheer Rahmati. Barguzida Hain Hawaon Ke Asar Se Hum Bhi is written by Zaheer Rahmati. Read famous Poem Barguzida Hain Hawaon Ke Asar Se Hum Bhi for youth and Student by Zaheer Rahmati. Free Download Barguzida Hain Hawaon Ke Asar Se Hum Bhi in PDF.