Dard To ZaKHm Ki PaTTi Ke HaTane Se UTha
dard to zaKHm ki paTTi ke haTane se uTha
aur kuchh aur bhi marham ke lagane se uTha
us ke alfaz-e-tasalli ne rulaya mujh ko
kuchh ziyaada hi dhuan aag bujhane se uTha
ahd-e-mazi bhi to be-dagh nahin kyun kahiye
pasdari ka chalan aaj zamane se uTha
wajh mumkin hai koi aur ho main ye samjha
wo teri bazm mein shayad mere aane se uTha
zulf-e-zholida to zebaish-e-ruKHsar hui
masala sara faqat ek tere shane se uTha
apni pa-mardi pe wo shaKHs bhi nazan hai 'zahir'
jo girane se gira aur uThane se uTha
(1078) Peoples Rate This