Zulf-e-KHamdar Mein Nur-e-ruKH-e-zeba Dekho

zulf-e-KHamdar mein nur-e-ruKH-e-zeba dekho

chashm-e-baddur mera husn-e-tamanna dekho

ab wo aaraish-e-gesu se hua hai farigh

ab agar himmat-e-musa ho to jalwa dekho

bahr-e-didar karo dida-e-majnun paida

jurat-e-shauq se phir jalwa-e-laila dekho

aaj phir shauq-e-dil-e-zar ki qismat jagi

aaj phir us ne mujhe pyar se dekha dekho

nigah-e-lutf se dekha hai to Thahro kuchh der

ab mere dil ke dhaDakne ka tamasha dekho

jo masihai se aari hain unhen kya malum

apne bimar ko tum KHud hi KHudara dekho

KHud chale aao abhi tar-e-nafas hai baqi

ho nahin paega phir dil ka mudawa dekho

aa gaya hai wo yahan nur-e-sahar ki manind

khul gaya jabki mere dil ka daricha dekho

be-sabab zulm ki aandhi na chalao mujh par

yun ujaD jaega gulzar-e-tamanna dekho

tum ko kuchh yaad hai ghar ghar mein mera charcha tha

ab usi shahr mein phirta hun main tanha dekho

jo riya-kar hain un se na baDhao pengen

chashm-e-iKHlas mein ho jaoge ruswa dekho

jis ki binai se ek shahr hua tha raushan

aaj be-nur hai wo dida-e-bina dekho

ye samajh lo ki wo hai ilm-o-hunar ka madfan

jab kisi shahr mein tum ghalba-e-mulla dekho

(1245) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulf-e-KHamdar Mein Nur-e-ruKH-e-zeba Dekho In English By Famous Poet Zahid Chaudhry. Zulf-e-KHamdar Mein Nur-e-ruKH-e-zeba Dekho is written by Zahid Chaudhry. Read famous Poem Zulf-e-KHamdar Mein Nur-e-ruKH-e-zeba Dekho for youth and Student by Zahid Chaudhry. Free Download Zulf-e-KHamdar Mein Nur-e-ruKH-e-zeba Dekho in PDF.