Ek Viran Ganw Mein

inhi sukhe hue maidanon mein

ab jahan dhup ki lahron ke siwa kuchh bhi nahin

sabz lahraate hue khet hua karte the

log aabaad the peDon ki ghani chhanw mein

mahfilen jamti thin afsane sune jate the

aaj viran makanon mein hawa chiKHti hai

dhul mein uDte kitabon ke waraq

kis ki yaadon ke waraq kis ke KHayalon ke waraq

mujh se kahte hain ki rah jao yahin

aur main sochta hun sirf andhera hai yahan

phir hawa aati hai diwani hawa

aur kahti hai: nahin sirf andhera to nahin

yaad hain mujh ko wo lamhe jin mein

log aazad the aur zinda the

aao main tum ko dikhaun wo maqam

ek viran jagah inTon ka ambar nahin kuchh bhi nahin

aur wo kahti hai ye pyar ka markaz tha kabhi

kis ki yaad aae mujhe kis ki batao kis ki!

aur ab chup hai hawa chup hai zamin

bol ai waqt! kahan hain wo log

jin ko wo yaad hain jin ki yaaden

in hawaon mein pareshan hain aaj

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Viran Ganw Mein In English By Famous Poet Zahid Dar. Ek Viran Ganw Mein is written by Zahid Dar. Read famous Poem Ek Viran Ganw Mein for youth and Student by Zahid Dar. Free Download Ek Viran Ganw Mein in PDF.