Ajab Kya Hai Rahe Us Par Bahte Jugnuon Ki Raushni Tahlil Ki Zad Mein

ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein

hawa-e-be-watan rakh le tulu-e-mahr ka ek zaicha zambil ki zad mein

gham-e-be-chehragi ka aks tha jis ne wajud-e-sang ko mabhut kar Dala

tarashin silwaTen junhi KHad-o-KHal-e-tahayyur aa gae tashkil ki zad mein

shab-e-wada fasil-e-hijr se aage chamakta hai tera ism-e-sitara-ju

ki jaise koi paiwand-e-rida-e-subh aa jae kisi qindil ki zad mein

tamashai dariche mein thirakti surKH aaankhon ke tilism-e-KHwab mein gum hain

magar sahmi hui kaTh-putliyon ki zindagi hai aaKHiri tamsil ki zad mein

mere name tahi-mazmun sahi phir bhi teri lauh-e-muqaffal ki amanat hain

kabhi to aaegi shakl-e-huruf-e-na-farastada KHat-e-tawil ki zad mein

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Kya Hai Rahe Us Par Bahte Jugnuon Ki Raushni Tahlil Ki Zad Mein In English By Famous Poet Zahid Masood. Ajab Kya Hai Rahe Us Par Bahte Jugnuon Ki Raushni Tahlil Ki Zad Mein is written by Zahid Masood. Read famous Poem Ajab Kya Hai Rahe Us Par Bahte Jugnuon Ki Raushni Tahlil Ki Zad Mein for youth and Student by Zahid Masood. Free Download Ajab Kya Hai Rahe Us Par Bahte Jugnuon Ki Raushni Tahlil Ki Zad Mein in PDF.