Yun Bhi Hota Hai KHandan Mein Kya

main

rozana ek sau rupe ujrat ka mulazim hun

mera beTa

tyre pankchar ki dukan par kaam karta hai

aur

ustad ki galiyon aur thappaDon ke alawa

tis rupae rose kamata hai

biwi aur nau-umr beTi

tin chaar baDe gharon mein safai aur bartan dhoti hain!

mujhe yaad nahin

ki kabhi mere kumbe ne mil kar nashta kiya ho

ya

raat ke khane ke baad mil-jul kar baaten ki hon

mere bachche ab

mujh se idi nahin mangte

aur

biwi baaliyon aur gajron ka taqaza nahin karti

hum sab

KHurak puri karne ke liye marte hain

aur

utility bil dene ke liye zinda rahte hain

hum ek dusre se

ajnabiyon ki tarah milte hain

aur

aabai gharon mein kiraya-daron ki tarah rahte hain

(886) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Yun Bhi Hota Hai KHandan Mein Kya In English By Famous Poet Zahid Masood. Yun Bhi Hota Hai KHandan Mein Kya is written by Zahid Masood. Read famous Poem Yun Bhi Hota Hai KHandan Mein Kya for youth and Student by Zahid Masood. Free Download Yun Bhi Hota Hai KHandan Mein Kya in PDF.